Best Ghazal Of Sahir Ludhianvi
साहिर लुधयानवी एक बहुत ही उम्दा शायर रहे है.उनके लिखे हुए ग़ज़ल,शेर और शायरी लोगो के दिलो में गहरायी तक उतर जाते है.हम यहाँ पर उनकी कुछ ऐसी ही उम्दा ग़ज़ल और शायरी आपके लिए पेश करने जा रहे है.उम्मीद है आपको पसंद आएगी.
Sahir Ludhianvi Love Shayari
Fankaar
Maine jo tere geet tere pyar ki khatir likhe
Aaj un geeto ko bazar me le aya hu
Aaj dukan pe nilaam uthega unka
Tune jin geeto pe rakhhi thi mohabbat ki asaas
Aj chandi tarazu me tulegi har chiz
Mere afkaar, meri shayari, mera ehsaas
Jo teri zaat se mansub the un geeto ko
muflisi jins banane pe utar ayi hai
Bhuk, tere rukhe-rangi ke fasano ke evaz
Chand ashiya-e-zarurat ki tamannayi hai
Dekh is arsagahe-mehnato-sarmaya me
Mere nagme bhi mere paas nahi reh sakte
Tere jalwe kisi zardaar ki miras sahi
Tere khake bhi mere paas nahi reh sakte
Aaj un geeto ko bazar me le aya hu
Maine jo tere geet tere pyar ki khatir likhhe.
___________________________
Sahir Ludhianvi Mohabbat Shayari
Sochta Hu
Sochta hu ki mohabbat se kinara kr lu
Dil ko Begana-e-targibo-tamanna kar lu
Sochta hu ki mohabbat hai junune-ruswa
Chand bekar-se behuda khayalo ka hujum
Ek azad ko paband banane ki hawas
Ek begane ko apnane ki saiye-mauhum
Sochta hu ki mohabbat hai saruso-masti
Inki tanveer se raushan hai fazaye-hasti
Sochta hu ki mohabbat hai bashar ki fitrat
Iska mit jana, mita dena bahut mushkil hai
Sochta hu ki mohabbat se hai tabinda hayaat
Ab ye shamma bujha dena bahut mushkil hai
Sochta hu ki mohabbat pe kadi sharte hai
Is tamddun me masrrat pe badi sharte hai.
Daure-sarmaya ki raudi huyi ruswa hasti
Dargahe-mazhabo-ikhlaaq se thukrayi hui
Sochta hu ki bashar aur mohabbat ka junun
Ese bosida tamaddun se hai ik kare-zabu
Sochta hu ki mohabbat na bachegi zinda
Pesh-aj-waqt ki sad jaye ye galti hui lash
Yahi behtar hai ki begana-e-nafrat ki talash
Apne sine me karu jazb-e-nafrat ki talash
Aur saud-e-mohabbat se kinara kar lu
Dil ko begana-e-targibo-tamanna kar lu.
______________________
Sahir Ludhianvi Shayari Mohabbat Ki Kahani
Mujhe Sochne Do
Meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed
Apni mayus umango ka fasana na suna
Zindgi talkh sahi, zaher sahi,gam hi gam sahi
Dardo-aazar sahi,jabr sahi,gam hi sahi
Lekin is dardo-gamo-jabr ki vusat ko to dekh
Zulm ki chhao me dam todti khalqat ko to dekh
Apni mayus umango ka fasana na suna
Meri nakam mohabbat ki kahani mat chhed
Jalsagaho me ye dehshat-zada sahme amboh
Rehguzaaro pe falaqat-zada logo ke giroh
Bhuk aur pyas se pazmurda siyahfaam zami
Tirho-taar makaa mufliso-bimar maqi
Nau-e-insa me ye sarmaya-o-mehnat ka tazaad
Amno-tehjeeb ke parcham tale kaumo ka fasad
Har taraf atisho-aahan ka ye sailaabe-azim
Nit naye tarz pe hoti hui duniya taqsim
Lehlahate hue kheto pe jawani ka sama
Aur dehqaan ke chhappar me na batti na dhuaan
Ye falaq-bose mile, dilkasho-simi bazar
Ye galazat pe jhapat te hue bhike nadaar
Door sahil pe wo shaffaaf makano ki qataar
Sarsarate hue pardo me simat te guzaar
Daro-diwar pe anwaar ka sailabe-rawa
jaise ik shayare-madhosh ke khwabo ka jaha
Ye sabha kyo hai ? Ye kya hai ? mujhe kuchh sochne de
Kaun insa ka khuda hai, Mujhe kuchh sochne de
Apni mayus umango ka fasana na suna
Meri nakam mohabbat ki kahani mat chhed.
____________________
Sahir Ludhianvi Shayari In Hindi
साहिर लुधयानवी ने हर पहलू पर शायरी की है.साहिर के ये शेर दिखाते है की वे समाज के हर पहलू के बारे में कितनी गहरायी से सोचते थे.इस ग़ज़ल के माध्यम से हमें पता चलता है की समाज के उस पहलु को भी वे उजागर करते थे जिसके बारे में कोई न तो लिखना चाहता है और न ही उसके बारे में बात करना चाहता है.
इस ग़ज़ल में साहिर ने एक ऐसे मुद्दे को उठाया है जो की हमारे समाज की एक बहुत ही कड़वी सच्चाई है.उन्होंने उस अनछुए पहलू को छुआ है की कैसे इंसान अपनी नीयत से मजबूर होकर क्या-क्या करता है.
कैसे साहिर ने बताया है कि किसी चकले पर बाप और बेटा दोनों ही जाते है, वे ये भी नहीं सोचते कि वो लड़कियां भी किसी की बहिन,बेटी और माँ भी है.
कैसे वो लड़कियां मजबूरी में इस काम को करती है और लोगो की तरफ किसी उम्मीद से देखती है कि कोई आए और उन्हें इस दलदल से बाहर निकले.लेकिन उनकी उम्मीद पर कोई खरा नहीं उतरता और वे उसी जाल में फ़सी रह जाती है.
कैसे लोग भूखो की तरह उनकी तरफ देखते है और उनके हाथ कभी उनके सीने पर पड़ते है तो कभी कही और.लेकिन कोई उनकी मदद को नहीं आता.उनके खींचते हुए आंचलों पर सब खुश होते है और उनका मज़ाक उड़ाते है जहां उनकी इज़्ज़त दिन रात नीलाम होती है.
एक अच्छा शायर वही जो समाज के हर पहलु को सम्वेदनशीलता से देखता और महसूस करता हो और साहिर लुधयानवी की शायरी में हमें उस शायर की झलक मिलती है.
Chakle
Ye kuche ye nilamghar dilkashi ke
Ye lut te hue karva zindgi ke
Kaha hai? kaha hai muhafiz Khudi ke
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Ye purpech galiya,ye bekhwab bazar
Ye gumnaam rahi, ye sikko ki jhankaar
Ye ismat ke saude, ye saude pe takraar
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Ta’affun se pur neem- roshan ye galiya
Ye masli hui adhkhili zard kaliya
Ye bikti hui khokhli rangraliya
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Wo ujle daricho me payal ki chhan-chhan
Tanaffus ki uljhan pe table ki dhan-dhan
Ye berooh kamro me khansi ki dhan-dhan
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Ye gunje hue kehkahe rasto par
Ye charo taraf bhid-si khidkiyo par
Ye awaze khichte hue aanchalo par
Sana-khwean-taqdise-mashrik kaha hai?
Ye phulo ke gajre,ye piko ke chhito
Ye bebaak nazre, ye gustakh fiqre
Ye dhalke badan aur ye madqooq chehre
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Ye bhuki nigahe hasino ki janib
Ye badhte hue haath sino ki janib
Lapakte hue paanv zino ki janib
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Yaha pir bhi aa chuke hai jawa bhi
Tanmud bete bhi abba miya bhi
Ye bibi bhi hai aur behan bhi hai maa bhi
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Madad chahti hai ye hawwa ki beti
Yashoda ki hamjins, radha ki beti
Payambar ki ummat, julekha ki beti
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?
Bulao, khodayane-di ko bulao
Ye kuche,ye galiya, ye manzar dikhao
Sana-khwane-taqdise-mashriq ko lao
Sana-khwane-taqdise-mashrik kaha hai?