Sahir Ludhyanvi Shayari

Sahir Ludhyanvi Shayari

 
Mataa-e-gair
(Gair Ki Sampatti)
 



 
Mere khwabo ke jhaorkho ko sajane wali
Tere khwabo me kahi mera guzar hai ki nahi
Puchhkar apni nigaho se bata de mujhko
Meri raato ke mukaddar me sahar hai ki nahi
 
Char din ki ye rafaqat(sath) jo rafaqat bhi nahi
Umar bhar ke liye aazaar hui jati hai
Zindgi yu to hamesha pareshan si thi
Ab to har saans giraa-baar(Bojhil) hui jati hai
 
Meri ujdi hui neendo ke sabistaano me
Tu kisi khwab ke paiker(Sharir,Body) ki tareh ayi hai
Kabhi apni-si,kabhi gair nazar ati hai
Kabhi ikhlaas(niswarth) ki murat,kabhi harjayi hai
 
Pyar par bas to nahi hai mera,lekin fir bhi
Tu bata de ki tujhe pyar karu ya na karu
Tune khud apne tabssum se jagaya hai jinhe
Un tamnnao ka izhaar karu ya na karu
 
Tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
Meri raate teri khusboo se basi rehti hai
Tu kahi bhi ho tere phool se aariz(Gaal) ki qasam
Teri palake meri aankho pe jhuki rehti hai
 
Tere hatho ki hararat, teri sanso ki mehak
Tairti rehti hai ehsaas ki pehnayi me
Dhudhti rehti hai takheel ki (Kalpna) bahe mujhko
Sard rato ki sulagti hui tanhayi
 
Tera altafo-karam(Kripa) ek haqiqat hai, magar
Ye haqiqat bhi haqiqat me fasana hi na ho
Teri manoos nigaho ka ye mohtaat payaam 
Dil ke khu karne ka aur bahana heen ho
 
Kaun jane mere imroz ka(Aaj ka) farda(Kal) kya hai
Qurbate badhke pashemaan bhi ho jati hai
Dil ke daman se lipat ti hui rangi nazre
Dekhte-dekhte anjaan bhi ho jati hai
 
Meri Darmaanda(majboor) jawani ki tamannao ke
muzmhil(Aakul) khwab ki tabir bata de mujhko
Tere Daman me gulista bhi hai,virane bhi
Mera hasil meri taqdir bata de mujhko.
 
________________

Ek Mulaqaat




Teri tadap se na tadpa tha mera dil,lekin
Tere sukun se bechain ho gaya hu mai
Ye jaankar tujhe kya jaane kitna gam pahuche
Ki aj tere khayalo me kho gaya hu mai

Kisi ki hoke tu is tareh mere ghar ayi 
Ki jese fir kabhi aye to ghar mile na mile
Nazar uthayi, magar esi be-yaqini se
Ki jis tareh koi peshe-nazar na mile

Tu muskurayi, magar muskura ke ruk si gayi
Ki muskurane se gam ki khabar mile na mile
Ruki to ese,ki jese teri rayazat(tapasya) ko
Ab is samar(phal,Result) se zyada samar mile na mile

Gayi to sog me doobe qadam ye keh ke gaye
Safar hai shart, Sharike-safar mile na mile

Teri tadap se na tadpa tha mera dil,lekin
Tere sukun se bechain ho gaya hu
Ye jaankar tujhe kya jane kitna gam pahuche
Ki aaj tere khyalo me kho gaya hu.


__________________


Radde-Amal
(Pratikriya,Reaction)

Chand kaliya nashat(Khushi) ki chunkar 
Muddato mahve-yaas(sad) Rehta hu
Tera milna khushi ki baat sahi
Tujhse milkar udas rehta hu

_______________


Ek Manzar




Ufuk (Horizon) ke dariche se kirno ne jhanka
Faza tan gayi raste muskuraye
Simatne lagi narm kohre ki chadar
Jawa shakhsaaro ne gughat uthaye
Parindo ki awaz se khet chauke
Pur-asraar lay me rehet gungunaye
Hasi shabnam-aalud(os bhari) pagdandiyo se
Lipatne lage sabz pedo ke saye

Wo door ek teele pe ek aanchal-sa jhalka 
Tasavvur me lakho diye jhimilaye.

__________________

Ek Vakiya


Andhiyaari raat ke aangan me
 Ye subah ke qadamo ki aahat
Ye bhigi-bhigi sard hawa,
Ye halki-halki dhundhlahat

Gadi me tanha mahve-safar
Aur nind nahi hai aankho me
Bhule bisre rumano ke
khwabo ki zami hai aankho me

Agle din haath hilate hai
pichhli pite yaad ati hai 
Gumgasta(lost) khushiya aankho me 
Ansu bankar lehrati hai

Sine ke viraa goshe me ik 
Tees-si karwat leti hai
Nakam umange roti hai
Ummid sahare deti hai

Vo rahe zehan me ghumti hai
Jin raho se aj aya hu
Kitni ummid se pahucha tha
kitni mayusi laya hu.

_____________

Shahkaar
(Painting)

Musavvir! mai tere shahkaar vapas karne aya hu

Ab in rangin rukhsaro me thodi zardiya bhar de
Hijab-aalud nazro me zara bebakiya bhar de

labo ki bhigi-bhigi salvato ko muzmhil kar de
Numaya range-peshani pe akse-shoze-dil kar de

Tabssum afri chehre me kuchh sanjidapan bhar de
Jawa sine ki   uthane sarningu kar de

Ghane balo ko kam kar de magar rukhshindgi de de
nazar se tamknat lekar mazaqe-Aajizi de de

Magar ha bench ke badle is sofe pe bithla de
Yaha meri bajay ek chamkti car dikhla de.




Words– Shahkaar-Painting, Musavvir-Artist, Rukhsaar-Kapol, Hijab-aalud-Lajjashil,Muzmhil – Vyakul,Range-Peshani-Mathe ke rang par,Akse-shoze-dil-Dil ki jalan ka pratibimb,Tabssum afri-Muskurate,Makhrooti-Gol aur Nukili,Sarningu-Jhuki Hui,  Rukhshindgi-Chamak,Tamknat-Abhimaan,Mazaqe-Aajizi-Vinayshilta.


pppKhana Aabadi
( Ek Dost Ki Shadi Par)


Tarane gunj utthe hai Faza me shadiyano ke
Hawa hai-Aagi, zarra-zarra muskurata hai

Magar door ek afsurda makaa me sard bistar par
Koi dil hai ki har aahat pe yu hi chauk jata hai

Meri aankho me ansu aa gaye ‘nadideh aankho’ ke
Mere dil me koi gamgeen nagma sarsarata hai

Ye rasme-inkitaye-ahade-ulfat, ye hayate-nau
Mohabbat ro rahi hai, Aur tamaddun muskurata hai

Ye shadi khana-abadi ho, mere mohatrim bhai
‘Mubarak’ keh nahi sakta, Mera dil kaanp jata hai. 

_______________________

Sahir ludhianvi ki Shayari

Nakaami





MAine har chand game-ishq ko khona chaha
game-ulfat, game-duniya me samona chaha…

Vahi afsane mrei simt rava hai ab tak
Vahi shole mere sine me nihaa hai ab tak

Vahi besud khalish hai mere sine me hanoz
Vahi bekar tamannaye jawa hai ab tak

Vahi gesu meri raato pe hai bikhre-bikhre
Vahi aankhe meri janib nigra hai ab tak

Kasrate-gum bhi mere gum ka mudawa na hui
mere bechain khayalo ko suku na mil saka

Dil ne duniya ke har ik dard ko apna to liya
Muzmhil rooh ko andaze-junoo mil na saka

Meri takhil ka shiraza-e-barhum hai vahi
Mere bujhte hue ehsaas ka alam hai vahi

Vahi bejaan irade, Vahi berang sawal!
Vahi berooh kashakash, Vahi bechain khayal!!

Aah, is kashmakashe-subho-masa ka anjaam
Mai bhi nakam, meri sayi-e-alam bhi nakam.


_________________

Sahir Ludhianvi

Mai Nahi To Kya


Mere liye ye takalluf, ye dukh, ye hasnat kyu
Meri nigahe talab aakhiri nigaah na thi

Hayaatzaare-jaha ki tavil raho me
Hazaar dida-e-haira fusu bikhrege

Hazaar chasme-tamanna banegi daste-sawal
nikal ke khalvate, gam se nazar uthao to !

Vahi shafaq hai,vahi jau hai,Mai nahi to kya?






Mere bagair bhi tum kamyabe-isharat thi
Mere bagair bhi abad the nishad kade

Mere bagair bhi tumne diye jalaye hai,
Mere bagair bhi dekha hai julmato ka najul

Mere na hone se ummid ka ziyaa kyu ho?
Badhi chalo maye-ishrat ke jaam chhalkati

Tumhaari sej tumhaari badan ke phoolo par 
Usi bahaar ka partau hai,mai nahi to kya.



Mere liye ye udasi, Ye sog kyu aakhir?
Malih chehre pe garde-fusurdgi kaisi?

Bahaare-gaza se aariz ko tazgi bakhsho
Alil aankho me kajal lagao,rang bharo

siyah jude me kaliyo ki kehkasha gutho,
Hazaar hafte sine, hazaar kapte lab

Tumhari chasme-tavjjo ke muntazir hai abhi
Jilo me nagma-o-rango-baharo-noor liye

Hayaat garche-tago-dao hai, mai nahi to kya.


__________________

Sahir Ludhianvi Love Sad Shayari

Kisi Ko Udaas Dekhkar



Tumhe udaas-si pata hu mai kayi din se
Na jane kaun se sadme utha rahi ho tum 

Vo shokhiya, vo tabssum, vo kehkahe na rahe
Har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum 

Chhupa-chhupa ke khamoshi me apni bechaini
Khud apne raaz ki tashheer ban gayi ho tum



Meri ummid agar mit gayi to mitne do
ummid kya hai bas ek pesho-pas hai kuchh bhi nahi

Meri hayaat ki gamginiyo ka gam na karo 
Game-hayaat game-yak-nafas hai kuchh bhi nahi

Tum apne husn ki ranaiyo par reham karo
Vafa fareb hai, tule-havas hai kuchh bhi nahi.


Mujhe tumhare tagaful se kyo shikayat ho 
Meri fana mere ehsaas ka taqaza hai

Mai janta hu ki duniya ka khauf hai tumko
mujhe khabar hai, ye duniya ajib duniya hai

Yaha hayaat ke parde me maut palti hai
Shikaste-saaz ki awaz roohe-nagma hai


Mujhe tumhari judai ka koi ranj nahi
Mere khayal ki duniya me mere pas ho tum

Ye tumne thik kaha hai, tumhe mila na karu
Magar mujhe ye bata do ki kyo udas ho tum

Khafa na hona meri jurrate-takhatab par 
Tumhe khabar hai ki meri zindgi ki aas ho tum






Mera to kuchh bhi nahi hai mai ro ke ji lunga
Magar khuda ke liye tum asire-gam na raho

Hua hi kya jo zamane ne tumko chhin liya
Yaha pe kaun hua hai kisi ka, socho to

Mujhe qasam hai meri dukh-bhari javani ki
Mai khush hu meri mohabbat ke phool thukra do

Mai apni rooh ki har ik khushi mita lunga
Magar tumhari masrrat mita nahi sakta

mai khud ko maut ke hatho me saup sakta hu 
Magar ye bare masaib utha nahi sakta

Tumhare gam ke siva aur bhi to hai gum mujhe
Njaat jinse mai ik lamha pa nahi sakta.




Ye unche-unche makano ki dyodhiyo ke tale
Har ek gaam pebhuke bhikariyo ki sada

Har ek ghar me ye iflaas aur bhuk ka shor 
Har ik samt ye insaniyat ki aaho-buka

Ye karkhano me lohe ka shoro-gul jisme
Hai dafn lakho garibo ki rooh ka nagma


Ye shahraho pe rangeen sadiyo jhalak
Ye jhopdo me garibo ki bekafan lashe

Ye maalrod pe caro ki rel-pel ka shor
Ye patriyo pe ke zard-ru bachhe

Gali-gali me ye bikte huye java chehre
Hasin aankho me afsurdgi-si chhayi hui

Ye jang aur ye mere vatan ke shokh java
Kharidi jati hai uthti javaniya jinki

Ye baat-baat pe kanuno-zabte ki giraft
Ye zillate, ye gulami,ye daure majburi

Ye gam bahut hai meri zindgi mitane ko
Udas reh ke mere dil ko aur ranj na do.

 
 

Leave a Comment

15 Best Heart Touching Quotes 5 best ever jokes