Rahat Indori Shayari
Aj hum bahut famous shayar ke kuchh sher aur shayari apke samne pesh karne ja rahe hai,Aur unka naam hai Rahat Indori.Rahat Indori kisi parichaye ke mohtaaj nahi hai.
Dhoop bahut hai mausam jal thal bhejo na
Baba mere naam ka badal bhejo na
Maulsari ki shakhao par bhi diye jale
Shakho ka keasariya aanchal bhejo na
Nanhi Munni sab chahkaare kaha gayi
moro ke pairo ki payal bhejo na
Basti basti dehshat kisne bo di hai
Galiyo bazaro ki halchal bhejo na
Sare mausom ek umas ke aadi hai
Chhanv ki khushboo, dhoop ka sandal bhejo na
Mai basti me aakhir kis se baat karu
Mere jesa koi pagal bhejo na.
______________
Sar par saat aakash, zami par saat samandar bikhre hai
Aankhe chhoti pad jati hai itne manzar bikhre hai
Zinda rehna khel nahi hai is aabaad kharabe mai
Wo bhi aksar toot gaya hai hum bhi aksar bikhre hai
Is basti ke logo se jab bate ki to ye jana
Duniya bhar ko jodne wale andar andar bikhre hai
Aangan ke masoom shajar ne ek kahani likhi hai
Itne fal shakho pe nahi the jitne patthar bikhre hai
Sari dharti, sare mausam,ek hi jese lagte hai
Aankho aankho qaid hue the manzar manzar bikhre hai.
_____________
Sawal ghar nahi buniyaad par uthaya hai
Hamare paanv ki mitti ne sar uthaya hai
Hamesha sar pe rahi ik chattaan rishto ki
Ye bojh vo hai jise umar bhar uthaya hai
Meri gulel ke patthar ka karnama tha
Magar ye kaun hai jisne samar(fal) uthaya hai
Yahi zami me dabayega ek din hum ko
Ye asman jise dosh par uthaya hai
Bulandiyo ko pata chal gaya ki fir maine
Hawa ka tuta hua ik par uthaya hai
Mahabali se bagawat bahut zaruri thi
Qadam ye hum ne samajh kar uthaya hai.
___________________
Pahli shart judai hai
Ishq bada harjai hai
Gum hai hosh hawao ke
kiski khushboo ayi hai
Khwab qaribi rishtedaar
Lekin nind parayi hai
Chand tarashe sari umar
Tab kuchh dhoop kamai hai
Mai bichhda hu dali se
duniya kyo murjhayi hai
Dil par kisne dastak di
Tum ho ya tanhayi hai
Dariya dariya naap chuke
Mutthi bhar gehrayi hai
Suraj toot ke bikhra tha
Raat ne thokar khayi hai
Koi masiha kya jane
Zakhm hai ya gehrayi hai
Waah re pagal waah re dil
Achhi qismat payi hai.
_________________
Ungliya yu na sab par uthaya karo
kharch karne se pahle kamaya karo
Zindgi kya hai khud hi samajh jaoge
Barisho me patange udaya karo
Dosto se mulakaat ke naam par
Neem ki pattiyo ko chabaya karo
Sham ke baad jab tum sahar dekh lo
Kuchh faqiro ko khana khilaya karo
Apne sine par do gaz zamin bandh kar
Asmaano ka zarf azmaya karo
Chand suraj kaha,apni manzil kaha
Ese veso ko muh mat lagaya karo.
___________
Mujhe dubo ke bahut sharmshar rehti hai
Wo ek mauj jo dariya ke paar rehti hai
Hamare taaq bhi bezaar hai ujalo se
Diye ki lau bhi hawa par sawar rehti hai
Fir uske baad vahi basi manzaro ke julus
Bahaar chand hi lamhe bahaar rehti hai
Isi se karz chukaye hai maine sadiyo ke
Yeh zindgi jo hamesha udhar rehti hai
Hamari, shahar ke danishwaro se yaari hai
Isiliye to qaba taar taar rehti hai
Mujhe kharidne walo! qataar me aao
Wo chiz hu jo pas-e-ishtehaar rehti hai.
___________________
Haste rehte hai musalsal hum tum
Ho na jaye kahi pagal hum tum
Jese dariya kisi dariya se mile
Aao! ho jaye mukammal hum tum
Udti firti hai hawao me zami
Rengte firte hai paidal hum tum
Pyas sadiyo ki liye aankjho me hum tum
Dekhte rehte hai badal hum tum
Dhoop hamne hi ugayi hai yaha
Hai isi raah ka pipal hum tum
Shahar ki had hi nahi aati hai
Katte rehte hai jungle hum tum
______________________
Darmiya ik zamana rakkha jaye
Tab koi pal suhana rakkha jaye
Sar pe suraj sawar rehta hai
Pith par shamiyana rakkha jaye
To yeh ab tay hua ki apne saath
Koi apne siva na rakkha jaye
Khub baate rahegi raste bhar
Dhup se dostana rakkha jaye
Ho nigahe zamin par lekin
Aasma par nishana rakkha jaye
Zakhm par zakhm ka guma na rahe
Zakhm itna purana rakkha jaye
Dil lutane me ehtiyaat rahe
Yeh khazana khula na rakkha jaye
Neel padte rahe jabino par
Pattharo ko khafa na rakkha jaye
Yaar! ab uski bevafayi ka
Naam kuchh shayarana rakkha jaye.
___________________
Haath khali tere shahar se jate jate
Jaan hoti to meri jaan, lutate jate
Ab to har haath ka patthar hame pehchanta hai
Umar guzri hai tere shahar me ate ate
Rengne ki bhi ijazat nahi hamko verna
Hum jidhar jate naye phool khilate jate
Mujh ko rone ka saliqa bhi nahi shayad
Log haste hai mujjko dekh ke ate ate
Ab ke mayus hua yaaro ko rukhsat karke
ja rahe the to koi zakhm lagate jate
Hum se pahle bhi musafir kayi guzre honge
kam se kam raah ke patthar to hatate jate
_______________________
Hausle zindgi ke dekhte hai
chaliye kuchh raz ji ke dekhte hai
Nind pichhli sadi se zakhmi hai
khwab agli sadi ke dekhte hai
Roz hum is andheri dhundh ke paar
Kafile roshni ke dekhte hai
Dhup itni karahti kyo hai
Chhav ke zakhm si ke dekhte hai
Taktaki bhandh li hai aankho ne
Raste vapsi ke dekhte hai
Barisho se to pyas bujhti nahi
Aaiye zahar pi ke dekhte hai.
___________________
Hame din raat marna chahiye tha
Miya kuchh kar guzarna chahiye tha
Bahut hi khubsurat hai ye duniya
yaha kuchh din thaharna chahiye tha
Mujhe tune kinare se hai jana
Samandar me utarna chahiye tha
Yaha sadiyo se tariki jami hai
Meri shab ko saharna chahiye tha
Akeli raat bistar par padi hai
Mujhe is din se darna chahiye tha
Dubo kar mujh ko khush hota hai dariya
Use to doob marna chahiye tha
Kisi se bevafayi ki hai maine
Mujhe iqraar karna chahiye tha
Ye dekho kirchiya hai aaino ki
Saliqe se sawarna chahiye tha
Falak par tabsara karne se pahle
Zami ka karz utarna chahiye tha.