Heartouching Famous Ghazal & Shayari Of Urdu Shayar
Aitibar Sajid
Maal-O-Zar Kay Kisi Anbaar Say Kia Lena Hai,
Ishq Ko Garmi-E-Baazaar Say Kia Lena Hai.
Teray Kunbay Ki Wiraasat Say Hamein Kia Matlab?
Tujh Say Matlab Hai Pareewaar Say Kia Lena Hai.
Umr Bhar Saath Jo Dena Hai Tou Phir Baat Karo,
Ham Ko Mehmaan Adaa-Kaar Say Kia Lena Hai.
Konsay Ham Bhi Farishtay Hain Kay Tujh Ko Jaanchai’n,
Teri Seerat, Teray Kirdaar Say Kia Lena Hai.
Jhonpri Apni Banaa Lengay Kisi Goshay Mein,
Qasr-E-Shaahi! Teray Me’maar Say Kia Lena Hai.
Apnay Ashko’n Kay Liye Jaib Mein Roomaal Rakho,
Kaam Apna Kisi Gham-Khaar Say Kia Lena Hai.
Barf-Baari Ka Wo Sheedaayi Hai SAJID Us Ko,
Teray Jaltay Huwe Ash’aar Say Kia Lena Hai.
Akbar Allahabadi
Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha,
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee’n Na Rahay,
Wo FaLak Na Raha Wo Samaa’n Na Raha,
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee’n Na Rahay.
Wo Gulo’n Mein GuLo’n Ki Si Bu Na Rahi,
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Haseeno’n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha,
Kaheen or Ki Kia Wo Hamee’n Na Rahay.
Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi,
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay,
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee’n Na Rahay.
Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa’n Na Rahaa,
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee’n Na Rahay.
Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia,
Na’ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye
Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee’n Na Rahay.
Tere Koocha-e-Zulf Mein Dil Hai Mera,
Ab Usay Main Smjhta Hoo’n Daam-E-Bala,
Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa,
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee’n Na Rahay.
Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab,
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia,
K Jo Ronaq-e-Bazm Tumhee’n Na Rahay.
Jo Thee’n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar,
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain,
K Nishaan Bhi Un K Kahee’n Na Rahay.
Wohi Sooraten Reh Gayi Paish-e-Nazar,
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee’n Na Rahay.
Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa,
Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa,
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee’n Na Rahay.
Abdul Hameed Adam Shayari & Ghazal
Wo Jo Teray Faqeer Hotay Hain,
Aadmi Bay-Nazeer Hotay Hain.
Teri Mahfil Mein Bethnay Waalay,
Kitnay Roshan Zameer Hotay Hain.
Phool Daaman Mein Chand Rakh Lijiye,
Raastay Mein Faqeer Hotay Hain.
Zindagi Kay Haseen Tarkash Mein,
Kitnay Bay-Rahm Teer Hotay Hain.
Wo Parinday Jo Aankh Rakhtay Hain,
Sab Say Pehlay Aseer Hotay Hain.
Daikhnay Waala Ek Nahi Milta,
Aankh Waalay Kaseer Miltay Hain.
Jin Ko Daulat Haqeer Lagti Hai,
Uff! Wo Kitnay Ameer Hotay Hain.
Jin Ko Qudrat Nay Husn Bakhsha Ho,
Qudratan Kuch Shareer Hotay Hain.
Hai Khushi Bhi Ajeeb Shay Lekin,
Gham Baray Dil-Pazeer Hotay Hain.
Ay ADAM Ehtiyaat Logon Say,
Log Munkar Nakeer Hotay Hain.
Best Ghazal Of Ahmad Faraz
Guzraa Hoon Jis Gali Say Bhi Pathar Lagay Mujhay,
Aisay Bhi Kia Thay La’l-O-Jawaahar Lagay Mujhay.
Lo Ho Chuki Shifaa Kay Mudawaa-E-Dard-E-Dil,
Ab Teri Dastaras Say Bhi Baahar Lagay Mujhay.
Tarsaa Diyaa Hai Abr-E-Guraizaa’n Nay Is Qadar,
Barsay Jo Boond Bhi Tou Samandar Lagay Mujhay.
Thaamay Raho Gay Jism Ki Deewaar Taabkay,
Ye Zalzala Tou Rooh Kay Andar Lagay Mujhay.
Gar Roshni Yehi Hai Tou Ay Bad-Naseeb Shehr,
Ab Teeragi Hi Tera Muqaddar Lagay Mujhay.
Manzil Kahaa’n Ki Zaad-E-Safar Ko Bachaaiyo!
Ab Rahzano’n Ki Niy’yat-E-Rahbar Lagay Mujhay.
Wo Mutma’in Kay Sab Ki Zubaa’n Kaat Di Gayi,
Aisi Khamoshiyo’n Say Magar Darr Lagay Mujhay.
Wo Qaht-E-Harf-E-Haq Hai Kay Is Ahd Mei’n ” Faraz ”,
Khud Sa Gunaahgaar Payambar Lagay Mujhay.